Wednesday 7 December 2011

SHAYARI'S

Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai….


Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte……


Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu……


Hum to dil deneko taiyar baithe hai,
Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,
Par hai re meri futi kismat,
Koi dil leneko hi taiyar nahi……


Bekabu hai dil fir bhi jiya ja raha hu,
Khali hao botal fir bhi piya ja raha hu,
Majburi to dekho is dil ki….
Reply nahi mil raha fir bhi msg kiya ja raha hu…


Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya….


Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga…..


Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar…


Haqiqat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno is dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana…..


Kuch nasha to aapki baat ka hai…
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai…
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai…


Dosti ka pehala pegam aapke naam,
Zindagi ki akhari sham aapke naam.
Iss safar main humsafar hain hum dono,
Is dosti ko nibhana hain aapka kaam.


Is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye.


Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hot pe tumahari.


Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.


Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar jayegi.
Arey do boond dosti ke pi le,
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi.


Fiza mein mehekti ek shaam ho tum,
Pyar mein chalakta jam ho tum.
Seene main chupaye phirte hai hum yaad tumahari,
Meri zindagi ka dusra naam ho tum.


Tum paas hot to tujhpe pyar aata hai,
Tum door ho to tera intezaar satata hai.
Kya kahe is dil ki haalat ki,
Tujhe yaad kar karke hume bukhaar ho jaata hai.


Vaade pe o aitbaar nahi karte,
Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.
Darta hai dil unki ruswai se,
Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte.


Har kadam par imtihaan leti hai zindagi,
Har waqt naya sadma deti hai zindagi.
Hum jindagi se kya shikwa kare,
Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi.


Kaash who nagme hame sunaye na hote,
Aaj unko sun kar aansu aye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.


Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye


Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote


Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge


Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai.
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai

No comments:

Post a Comment