Friday 25 November 2011

Shayari.....!!

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsaas hi ahsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai
 
 
 
 
 
 
 
Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai
 
 
 
 
One of the Best Shyari by Javed Akhtar
 
If you have eagerness in your heart, it means you are alive,
If your eyes are filled with dreams, it means you are alive
Learn to be free like the wind,
Learn to flow freely like the river,
Embrace every moment with open arms,
See a new horizon every time with your eyes,
If you carry surprise in your eyes, it means you are alive,
If you have eagerness in your heart, it means you are alive…
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Agar aansu naa hote meri aankho mein,
Toh aankhen itni khoobsurat naa hoti,
Agar dard na hota dil mein,
To khushi ki keemat pata na hoti,
Agar bewafai na ki hoti waqt ne,
To wafa ki kabhi chahhat na hoti,
Agar mangne sa puri ho jaati muraadein,
Toh uss khuda ki kabhi zarurat naa hoti.....
Kudrat ke karishmo me agar raat na hoti,
Khwabon me bhi unse mulaqat na hoti,
Yeh dil har ek gam ki wajah hai,
Ye dil hi na hota toh koi bat hi na hoti
 
 
 
log milte nahin mujhse do mulaakaat ke baad,
TooT jaate hain sabhi rishte shuruaat ke baad.

chhirh gaee.n dukhti hain mujhse jo ragen unki,
hote aglaat hain aksar ehtiyaat ke baad.

kaun kisse hai khafaa kaise bataayen yaaro,
wo bhi behaal hain badle hue haalaat ke baad.

khabar urhee hai shahar mein maut ki meri,
ho gaee sahar e khuda kya syahraat ke baad.

ho gaeen raunken feeki.n mere aangan ki,
chaand ab ghat'tne laga chaudvin ki raat ke baad.

baat kerte hain wo milte hi zamaane bhar ki,
meri kerte hain wo ab baat har baat ke baad.

ho chukee maat “anaarhi” rota kyon hai,
khatra e sailaab hai ashkon ki barsaat ke baad.
 
 
 
~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~

Agar Be-gharz Ho Jazba
Agar Manzil baney Rasta
Agar Chahat k Pardey Main
Koi Lalach Na Ho Lipta
Agar Tum Sonp Do Sab Kuch
Silay Main Kuch Na Maango
Agar Sauda Na Ho Koi
Mohabbat Bas Mohabbat Ho
Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hy
Kabhi Dukh Nahi Deti

~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~

No comments:

Post a Comment