Saturday 19 November 2011

Shayari: In 2 Lines........

Bara naaz tha un ko apne parde pe Faraz…
Kal raat woh khawab me sar-e-aam chale aaye.
 
 
 
Kabhi zid main hi tera ho gaya kabhi dil ne tujhko gawa diya,
Isi kashmakash me jiye sanam tune yaad rakha ya bhula diya.
 
 
 
 
Baarish Ki In Bondon Me Na Jane Kis K Aansoo Hain Wasi,
Saddiyon Pehly Shayad Koi Saddiyon Beth K Roya Tha..
 
 
 
Mat Cheen Apna Naam Mere Lab Se Is Tarah
Is Be Naam Zindagi Mein Tera Naam Hi To Hai..
 
 
 
 
Mumkin hai tere baad bhi aati hon gi baharen MOHSIN,
Gulshan mein tere baad kabhi ja kar nahi dekha.
 
 
 
 
Uss k hath mein tootay hoye sheeshay ki tarah hon Faraz...
Itna hi bhout hai k woo bhikarnay nahi deta..
 
 
Har kisi ky Naseeb main kahan likhi hain Chahtein,
Kuch Log Duniya main atae hain Faqat Tanhaiyun k Liye.

No comments:

Post a Comment